tere KHaton ki KHushbu
hathon mein bas gai hai sanson mein rach rahi hai
KHwabon ki wusaton mein ek dhum mach rahi hai
jazbaat ke gulistan mahka rahi hai har su
tere KHaton ki KHushbu
tere KHaton ki mujh par kya kya inayaten hain
be-muddaa karam hai beja shikayaten hain
apne hi qahqahon par barsa rahi hai aansu
tere KHaton ki KHushbu
teri zaban ban kar aksar mujhe sunae
baaten bani banai jumle raTe-raTae
mujh par bhi kar chuki hai apni wafa ka jadu
tere KHaton ki KHushbu
samjhe hain kuchh usi ne aadab chahaton ke
sab ke liye wahi hain alqab chahaton ke
sab ke liye barabar phaila rahi hai bazu
tere KHaton ki KHushbu
apne siwa kisi ko main jaanta nahin tha
sunta tha lakh baaten aur manta nahin tha
ab KHud nikal lai beganagi ke pahlu
tere KHaton ki KHushbu
kya jaane kis taraf ko chupke se muD chuki hai
gulshan ke par laga kar sahra ko uD chali hai
roka hazar main ne aai magar na qabu
tere KHaton ki KHushbu
Nazm
Tere KHaton ki KHushbu
Qateel Shifai