اردو हिंदी
Tawaif | Shaahi Shayari
tawaif

Nazm

Tawaif

Mahirul Qadri

;

ai zan-e-napak fitrat-e-paikar-e-makr-o-riya
dushman-e-mehr-o-wafa ghaarat-gar-e-sharm-o-haya

teri ho shoKHi lachar hai tera har andaz poch
saKHt-tar hai sang-o-ahan se teri bahon ka loch

tera zahir KHushnuma hai tera baatin hai siyah
har ada teri mukammal dawat-e-jurm-o-gunah

teri chuTki ki sada hai ya ki shaitan ka KHarosh
rahm kar insaniyat par o but-e-ismat-farosh

al-aman ai tere masnui tabassum ka fareb
tharthara uThti hai jis ke zor se nabz-e-shakeb

ye nazakat ki numaish ye fareb-amez chaal
dosh-e-hasti par tera napak hasti hai wabaal

tere har ghamze ki tah mein hai banawaT ka shikwa
jis ke aage sar-ba-sajda masiyat ke dasht-o-koh

tera chehra arghawani tera dil-e-be-ab-o-rang
zindagi kya hai teri qanun se fitrat ke jang

teri peshani ka har KHat masiyat-aluda hai
tera har iqdam na-farjam hai ba-huda hai

tere honTon par hansi hai dil tera afsurda hai
tu ba-zahir ji rahi hai ruh teri murda hai

tu husul-e-zar ki KHatir kis qadar bechain hai
kasab-e-daulat zindagi ka teri nasabulain hai

tere mazhab mein hifazat aabru ki hai gunah
mangti hai teri baaton se nissaiyat panah

tera dil hai zang-aluda magar chehra hai saf
tere zahir aur baatin mein hai kitna iKHtilaf

jaanti hai apni ruswai ko to wajh-e-numud
sinf-e-nazuk ki khuli tauhin hai tera wajud

teri bedari nahin hai ek musalsal KHwab hai
kya tu waqif hai ki ismat gauhar-e-nayab hai

jaanta hun teri bahon ki lachak ko bad-shiar
kyun dikhati hai jaDaw kanganon ko bar-e-abr

meri nazron ko KHuda-ra dawat-e-kawish na de
jagmagate motiyon ke haar ko jumbish na de

reshmin rumal se honTon ki surKHi ko na chhu
mujh pe chhal sakta nahin tera fareb-e-rang-o-bu

zulf-e-mushkin ko hinai ungliyon se mat sambhaal
khul chuka hai meri nazron par tera raaz-e-jamal

reshmin saDi ko sar se KHud hi Dhalkati bhi hai
bil-irada be-hayai kar ke sharmati bhi hai

siskiyan bharti hai to angDaiyan leti hai to
uf ai makkara bhari mahfil ko jal deti hai tu

koi ho jata hai jab tere tasanno ka shikar
chupke chupke kaam karta hai fareb-amez pyar

tu dila deti hai us ko apni ulfat ka yaqin
sach to ye hai tere kaTe ka koi mantar nahin

zindagi ko is ki yaksar talKH kar deti hai tu
kanp jata hai jigar wo chuTkiyan leti hai tu

bhagta hai jaise koi sanp ki phunkar se
dur rahna chahiye yun hi tere kirdar se