yak-rang mein saikaDon rang hote hain
halke, gahre, maddham shaffaf
raushniyon se bhare, chamakte, jagmagate
surmai abreshmi naqaben Dale
ghule mile
dhup chhanw ki aankh-micholi khelte
anokhe nuqush mein ubhre uDte hue
ya phir itne gambhir
jaise jahazon ke langar
in mein lahren hoti hain
taDapti bechain tufani
aur aisi bhi
jin par sukun ke sae
chhae hue hote hain
lekin un ke niche
pahaDi jharnon ki tezi, tilmilahaT
justuju ki lahak
aarzu ki pagal mahak
chhupi hoti hai
aur jab kai rang
un ki be-shumar tarangen
tarah tarah ki chhoTi baDi
chhupi aur zahir lahren
milti ek dusre se Takraati hain
tab nae hairat-nak hayule
aadhe pure bal khate daere
mauhum lakiren
la-jawab shaklen
aur aise paikar jo kisi dusri chiz ki tarah nahin hote
lekin jo KHud apni alag anup hasti mein
nai-naweli dulhan
nau-zaida bachche ki tarah
achchhe lagte hain
wajud mein aa jate hain
jhilmilate dhabbon ka ye shoala
insani ungliyon zehn aur ruh ka ye karishma
zaban ka ye jauhri dhamaka
zindagi ko par laga deta hai
use itna uncha uDa le jata hai
jahan se is dharti
aur is par basne walon ko
hum yun dekhte hain
jaise titof ne use dekha tha
aur us ki sab achchhaiyon
KHubsurtiyon
is ki KHushbuon
latafaton ranginiyon ka partaw
hamari ruhon par bhi paDta hai
hum badal jate hain
aisa hi ek chhitr
tum ko malum nahin
kin aasmani rangon se khincha
apsaraon ki na jaane kaisi jadu mudraon se bhara
sowarg ke kaun se madhur ragon mein Dhaala
aur chupke se
man ke garm tapte aangan mein rakh diya
dafatan hazaron bahaaren jag paDin
gulabi pankhuDiyan barasne lagin
mahakti hawaon se
halki halki ThanDi narmiyan Tapak paDin
aur zindagi ki KHali mang
sindoor se bhar gai!
Nazm
Taswiren
Sajjad Zaheer