اردو हिंदी
Taswir-e-dard | Shaahi Shayari
taswir-e-dard

Nazm

Taswir-e-dard

Allama Iqbal

;

nahin minnat-kash-e-tab-e-shunidan dastan meri
KHamoshi guftugu hai be-zabani hai zaban meri

ye dastur-e-zaban-bandi hai kaisa teri mahfil mein
yahan to baat karne ko tarasti hai zaban meri

uThae kuchh waraq lale ne kuchh nargis ne kuchh gul ne
chaman mein har taraf bikhri hui hai dastan meri

uDa li qumriyon ne tutiyon ne andalibon ne
chaman walon ne mil kar luT li tarz-e-fughan meri

Tapak ai shama aansu ban ke parwane ki aankhon se
sarapa dard hun hasrat bhari hai dastan meri

ilahi phir maza kya hai yahan duniya mein rahne ka
hayat-e-jawedan meri na marg-e-na-gahan meri

mera rona nahin rona hai ye sare gulistan ka
wo gul hun main KHizan har gul ki hai goya KHizan meri

darin hasrat sara umrist afsun-e-jaras daram
z faiz-e-dil tapidan-ha KHarosh-e-be-nafas daram

riyaz-e-dahr mein na-ashna-e-bazm-e-ishrat hun
KHushi roti hai jis ko main wo mahrum-e-masarrat hun

meri bigDi hui taqdir ko roti hai goyai
main harf-e-zer-e-lab sharminda-e-gosh-e-samaat hun

pareshan hun main musht-e-KHak lekin kuchh nahin khulta
sikandar hun ki aaina hun ya gard-e-kudurat hun

ye sab kuchh hai magar hasti meri maqsad hai qudrat ka
sarapa nur ho jis ki haqiqat main wo zulmat hun

KHazina hun chhupaya mujh ko musht-e-KHak-e-sahra ne
kisi ko kya KHabar hai main kahan hun kis ki daulat hun

nazar meri nahin mamnun-e-sair-e-arsa-e-hasti
main wo chhoTi si duniya hun ki aap apni wilayat hun

na sahba hun na saqi hun na masti hun na paimana
main is mai-KHana-e-hasti mein har shai ki haqiqat hun

mujhe raaz-e-do-alam dil ka aaina dikhata hai
wahi kahta hun jo kuchh samne aankhon ke aata hai

ata aisa bayan mujh ko hua rangin-bayanon mein
ki baam-e-arsh ke tair hain mere ham-zabanon mein

asar ye bhi hai ek mere junun-e-fitna-saman ka
mera aaina-e-dil hai qaza ke raaz-danon mein

rulata hai tera nazzara ai hindostan mujh ko
ki ibrat-KHez hai tera fasana sab fasanon mein

diya rona mujhe aisa ki sab kuchh de diya goya
likha kalk-e-azal ne mujh ko tere nauha-KHwanon mein

nishan-e-barg-e-gul tak bhi na chhoD us bagh mein gulchin
teri qismat se razm-araiyan hain baghbanon mein

chhupa kar aastin mein bijliyan rakkhi hain gardun ne
anadil bagh ke ghafil na baiThen aashiyanon mein

sun ai ghafil sada meri ye aisi chiz hai jis ko
wazifa jaan kar paDhte hain tair bostanon mein

watan ki fikr kar nadan musibat aane wali hai
teri barbaadiyon ke mashware hain aasmanon mein

zara dekh us ko jo kuchh ho raha hai hone wala hai
dhara kya hai bhala ahd-e-kuhan ki dastanon mein

ye KHamoshi kahan tak lazzat-e-fariyaad paida kar
zamin par tu ho aur teri sada ho aasmanon mein

na samjhoge to miT jaoge ai hindostan walo
tumhaari dastan tak bhi na hogi dastanon mein

yahi aain-e-qudrat hai yahi uslub-e-fitrat hai
jo hai rah-e-amal mein gam-zan mahbub-e-fitrat hai

huwaida aaj apne zaKHm-e-pinhan kar ke chhoDunga
lahu ro ro ke mahfil ko gulistan kar ke chhoDunga

jalana hai mujhe har sham-e-dil ko soz-e-pinhan se
teri tarik raaton mein charaghan kar ke chhoDunga

magar ghunchon ki surat hun dil-e-dard-ashna paida
chaman mein musht-e-KHak apni pareshan kar ke chhoDunga

pirona ek hi tasbih mein in bikhre danon ko
jo mushkil hai to is mushkil ko aasan kar ke chhoDunga

mujhe ai ham-nashin rahne de shaghl-e-sina-kawi mein
ki main dagh-e-mohabbat ko numayan kar ke chhoDunga

dikha dunga jahan ko jo meri aankhon ne dekha hai
tujhe bhi surat-e-aina hairan kar ke chhoDunga

jo hai pardon mein pinhan chashm-e-bina dekh leti hai
zamane ki tabiat ka taqaza dekh leti hai

kiya rifat ki lazzat se na dil ko aashna tu ne
gizari umr pasti mein misal-e-naqsh-e-pa tu ne

raha dil-basta-e-mahfil magar apni nigahon ko
kiya bairun-e-mahfil se na hairat-ashna tu ne

fida karta raha dil ko hasinon ki adaon par
magar dekhi na us aaine mein apni ada tu ne

tassub chhoD nadan dahr ke aaina-KHane mein
ye taswiren hain teri jin ko samjha hai bura tu ne

sarapa nala-e-bedad-e-soz-e-zindagi ho ja
sapand-asa girah mein bandh rakkhi hai sada tu ne

safa-e-dil ko kya aaraish-e-rang-e-talluq se
kaf-e-aina par bandhi hai o nadan hina tu ne

zamin kya aasman bhi teri kaj-bini pe rota hai
ghazab hai satr-e-quran ko chalipa kar diya tu ne

zaban se gar kiya tauhid ka dawa to kya hasil
banaya hai but-e-pindar ko apna KHuda tu ne

kuen mein tu ne yusuf ko jo dekha bhi to kya dekha
are ghafil jo mutlaq tha muqayyad kar diya tu ne

hawas baala-e-mimbar hai tujhe rangin-bayani ki
nasihat bhi teri surat hai ek afsana-KHwani ki

dikha wo husn-e-alam-soz apni chashm-e-pur-nam ko
jo taDpata hai parwane ko rulwata hai shabnam ko

zara nazzara hi ai bul-hawas maqsad nahin us ka
banaya hai kisi ne kuchh samajh kar chashm-e-adam ko

agar dekha bhi us ne sare aalam ko to kya dekha
nazar aai na kuchh apni haqiqat jam se jam ko

shajar hai firqa-arai tassub hai samar us ka
ye wo phal hai ki jannat se nikalwata hai aadam ko

na uTTha jazba-e-KHurshid se ek barg-e-gul tak bhi
ye rifat ki tamanna hai ki le uDti hai shabnam ko

phira karte nahin majruh-e-ulfat fikr-e-darman mein
ye zaKHmi aap kar lete hain paida apne marham ko

mohabbat ke sharar se dil sarapa nur hota hai
zara se bij se paida riyaz-e-tur hota hai

dawa har dukh ki hai majruh-e-tegh-e-arzu rahna
ilaj-e-zaKHm hai aazad-e-ehsan-e-rafu rahna

sharab-e-be-KHudi se ta-falak parwaz hai meri
shikast-e-rang se sikha hai main ne ban ke bu rahna

thame kya dida-e-giryan watan ki nauha-KHwani mein
ibaadat chashm-e-shair ki hai har dam ba-wazu rahna

banaen kya samajh kar shaKH-e-gul par aashiyan apna
chaman mein aah kya rahna jo ho be-abru rahna

jo tu samjhe to aazadi hai poshida mohabbat mein
ghulami hai asir-e-imtiyaz-e-ma-o-tu rahna

ye istighna hai pani mein nigun rakhta hai saghar ko
tujhe bhi chahiye misl-e-habab-e-abju rahna

na rah apnon se be-parwa isi mein KHair hai teri
agar manzur hai duniya mein o begana-KHu rahna

sharab-e-ruh-parwar hai mohabbat nau-e-insan ki
sikhaya is ne mujh ko mast be-jam-o-subu rahna

mohabbat hi se pai hai shifa bimar qaumon ne
kiya hai apne baKHt-e-KHufta ko bedar qaumon ne

bayaban-e-mohabbat dasht-e-ghurbat bhi watan bhi hai
ye virana qafas bhi aashiyana bhi chaman bhi hai

mohabbat hi wo manzil hai ki manzil bhi hai sahra bhi
jaras bhi karwan bhi rahbar bhi rahzan bhi hai

maraz kahte hain sab is ko ye hai lekin maraz aisa
chhupa jis mein ilaj-e-gardish-e-charKH-e-kuhan bhi hai

jalana dil ka hai goya sarapa nur ho jaana
ye parwana jo sozan ho to sham-e-anjuman bhi hai

wahi ek husn hai lekin nazar aata hai har shai mein
ye shirin bhi hai goya be-sutun bhi kohkan bhi hai

ujaDa hai tamiz-e-millat-o-ain ne qaumon ko
mere ahl-e-watan ke dil mein kuchh fikr-e-watan bhi hai

sukut-amoz tul-e-dastan-e-dard hai warna
zaban bhi hai hamare munh mein aur tab-e-suKHan bhi hai

nami-gardid ko tah rishta-e-mani riha kardam
hikayat bud be-payan ba-KHamoshi ada kardam