Thahar jao inhin gati hui pur-nur rahon mein
aur ek lamhe ko ye socho
hare shital manohar kitne jangal aaj viran hai
wo kaisi lahlahati khetiyan thin ab jo pinhan hain
wo manzar kitne dilkash the jo ab yaad-e-gurezan hain
bas ek lamhe ko ye socho
na jaane kitni nashon ko kuchal kar aaj lae ho
nai tahzib ki in jannaton mein
jalwa-gahon mein
suno insan hun
aur roz-e-azal hi se
meri taKHliq aur tamir ke jalwe farozan hain
main jab marta hun
tab ek zindagi aabaad hoti hai
Nazm
Tasalsul
Salam Machhli shahri