ab na phailaunga main dast-e-sawal
main ne dekha hai ki majbur hai tu
meri duniya se bahut dur hai tu
teri qismat mein jahanbani hai
meri taqdir mein hairani hai
bazm-e-hasti mein sar-afraaz hai tu
mere anjam ka aaghaz hai tu
tu hai aasuda-e-farsh-e-sanjab
KHuld hai tere shabistan ka jawab
masjid-e-shahr ki mehrab ka KHam
teri taqdis ki khata hai qasam
main hun ek shaer-e-awara-mizaj
aur tere farq pe aKHlaq ka taj
main ne aalam se baghawat ki hai
tu ne har shai se mohabbat ki hai!
main ne mazhab pe bhi ilzam dhara
tu ne wahmon ko bhi iman samjha
gil kahan aur KHas-o-KHashak kahan
aalam-e-pak kahan KHak kahan
ab na phailaunga main dast-e-sawal
Nazm
Tark-e-daryuza
Ahmad Nadeem Qasmi