ye ek lamha jo apne hathon mein chand suraj liye khaDa hai
mujhe ishaaron se kah raha hai
wo mere ham-zad mere bhai
jo pattiyon ki tarah se kumhla ke zard ho ke
tumhaare qadmon mein aa gire hain
durida yaadon ke qafile hain
wo mere hamnam mere sathi
jo konpalon ki tarah se phuTenge
KHushbuon ki tarah chalenge
nae sarabon ke silsile hain
jo bit jata hai wo fana hai
jo hone wala hai wo fana hai
ye kya ki tum aansuon mein Dube hue khaDe ho
hazar bedar lazzaton ko KHiraj dene se Dar rahe ho
ye meri aankhon hain meri aankhon mein
apni aankhon ke rang bhar do
chalo mujhe la-zawal kar do
ye ek qatra jo zindagi ke samundaron se chhalak raha hai
meri shikaston ki ibtida hai
Nazm
Targhib
Saqi Faruqi