mere shanon pe tera sar tha nigahen namnak
ab to ek yaad si baqi hai so wo bhi kya hai?
ghir gaya zehn gham-e-zist ke andazon mein
sar hatheli pe dhare soch raha hun baiTha
kash is waqt koi pir-e-KHamida aa kar
kisi aazurda tabiat ka fasana kahta!
ek dhundalka sa hai dam toD chuka hai suraj
din ke daman pe hain dhabbe se riya-kari ke
aur maghrib ki fana-gah mein phaila hua KHun
dabta jata hai siyahi ki tahon ke niche
dur talab ke nazdik wo sukhi si babul
chand TuTe hue viran makanon se pare
hath phailae barhana si khaDi hai KHamosh
jaise ghurbat mein musafir ko sahaara na mile
us ke pichhe se jhijakta hua ek gol sa chand
ubhra be-nur shuaon ke safine ko liye
main abhi soch raha hun ki agar tu mil jae
zindagi go hai giran-bar pa itni na rahe
chand aansu gham-e-giti ke liye, chand nafas
ek ghao hai jise yun hi siye jate hain
main agar ji bhi raha hun to tajjub kya hai
mujh se lakhon hain jo ba-sud jiye jate hain
koi markaz hi nahin mere taKHayyul ke liye
is se kya faeda jite rahe aur ji na sake
ab irada hai ki patthar ke sanam pujunga
taki ghabraun to Takra bhi sakun mar bhi sakun
aise insanon se patthar ke sanam achchhe hain
un ke qadmon pe machalta ho damakta hua KHun
aur wo meri mohabbat pe kabhi hans na sakin
main bhi be-rang nigahon ki shikayat na karun
ya kahin gosha-e-ahram ke sannaTe mein
ja ke KHwabida farain se itna puchhun
har zamane mein kai the ki KHuda ek hi tha
ab to itne hain ki hairan hun kis ko pujun?
ab to maghrib ki fana-gah mein wo sog nahin
aks-e-tahrir hai ek raat ka halka halka
aur pur-soz dhundalke se wahi gol sa chand
apni be-nur shuaon ka safina kheta
ubhra namnak nigahon se mujhe takta hua
jaise khul kar mere aansu mein badal jaega
hath phailae idhar dekh rahi hai wo babul
sochti hogi koi mujh sa hai ye bhi tanha
aaina ban ke shab o roz taka karta hai
kaisa talab hai jo is ko hara kar na saka?
yun guzare se guzar jaenge din apne bhi
par ye hasrat hi rahegi ki guzare na gae
KHun pi pi ke pala karti hai angur ki bel
gar yahi rang-e-tamanna tha chalo yunhi sahi
KHun piti rahi baDhti rahi konpal konpal
chhanw taron ki shagufon ko numu deti rahi
narm shaKHon ko thapakte rahe ayyam ke hath
yunhi din bit gae subh hui sham hui
ab magar yaad nahin kya tha maal-e-ummid
ek tahrir hai halki si lahu ki baqi
bel phalti hai to kanTon ko chhupa leti hai
zindagi apni pareshan thi pareshan hi rahi
chahta ye tha mere zaKHm ke angur bandhen
ye na chaha tha mera jam tahi rah jae!
hath phailae idhar dekh rahi hai wo babul
sochti hogi koi mujh sa hai ye bhi tanha
ghir gaya zehn gham-e-zist ke andazon mein
kaisa talab hai jo is ko hara kar na saka
kash is waqt koi pir-e-KHamida aakar
mere shanon ko thapakta gham-e-tanhai mein
Nazm
Tanhai mein
Akhtar-ul-Iman