kyun meri talKH-nawai se KHafa hote ho
zahr hi mujh ko mila zahr piya hai main ne
koi is dasht-e-junun mein meri wahshat dekhe
apne hi chaak-e-gareban ko siya hai main ne
dair o kaba mein jalae meri wahshat ne charagh
meri mehrab-e-tamanna mein andhera hi raha
ruKH-e-tariKH pe hai mere lahu ka ghaza
phir bhi haalat ki aaankhon mein khaTakta hi raha
main ne khinchi hai ye mai main ne hi Dhaale hain ye jam
par azal se jo main pyasa tha to pyasa hi raha
ye hasin atlas-o-kam-KHwab bune hain main ne
mere hisse mein magar dur ka jalwa hi raha
mujh pe ab tak na paDi mere masiha ki nazar
mere KHwabon ki ye bechain zuleKHaen hain
jin ko tabir ka wo yusuf-e-kanan na mila
main ne har lahja mein logon se kahi baat magar
jo meri baat samajhta wo suKHan-dan na mila
kufr o islam ki KHalwat mein bhi jalwat mein bhi
koi kafir na mila koi musalman na mila
mere mathe ka araq Dhalta hai Taksalon mein
par meri jeb mere hath se sharmai hai
kabhi main baDh ke thapak deta hun ruKHsar-e-hayat
zindagi baiTh ke mujh ko kabhi samjhati hai
raat Dhalti hai to sannaTe ki pagDanDi par
apne KHwabon ke tasawwur se haya aati hai
kyun meri talKH-nawai se KHafa hote ho
meri aawaz ko ye zahr diya hai kis ne
Nazm
TalKH-o-tursh
Rahi Masoom Raza