wo bachcha kahan hai
jo kah de ki hazrat-salamat
ye sab log malbus-e-shahi ka iqrar karte rahen
mujh ko to aap nange nazar aa rahe hain
wo bachcha jo itni purani kahani mein zinda chala aa raha hai
hamare watan mein bhi hoga
hamare watan mein bhi hoga
Dari aur sahmi magar phir bhi jari ye aawaz dil chirti hai
hamare watan mein bhi hoga
hamare watan mein bhi hoga
main darbariyon mein to kya naukaron ke jilau mein bahut dur baiTha
libas-e-shahi ka madah-KHwan to ab bhi nahin
ishaaron kinayon
alamat se ya KHurafat se
kuchh na kuchh nazm mein kuchh na kuchh nasr mein baDbaData raha hun
magar wan bhi yan ka ye afsana sab ko sunata raha hun
wo 'ghaalib' na ho aur 'jalib' rahe phir bhi aisa hi bachcha
hamare watan mein bhi hai
aur rahega
Nazm
Talash
Jameeluddin Aali