hamare idrak ki sadaqat
tumhaare ilzam ki najabat
kabhi to tariKH ki adalat mein pesh hogi
halaf uThane ki rasm se be-niyaz lamhe
tamam mafluj adl-gahon ki maslahat-kesh-be-zabani
lahu-faroshi ke kul dalael
dafatir-e-munsifi par tahrir kar rahe hain
kabhi to tariKH ki adalat mein
tum bhi aaoge
hum bhi aaenge
tum apne sare halif lana
qasida-KHwanon ka majma-e-be-zamir lana
KHamida-sar maslahat-pasandi ke zahr-alud tir lana
tum apni mangi hui shikasta si tegh lana
salib lana
aziyyaton ke nisab lana
har ek maqtal mein dafn shoalon ki rakh lana
har ek pusht-e-bashar pe tahrir wahshaton ki lakir lana
kabhi to tariKH ki adalat mein
tum bhi aaoge hum bhi aaenge
hum apne hamrah zinda lafzon ke phul le kar
har ek daman ki dhajjiyon ki dhanak mein
poshida zindagi ke usul le kar
hazar-ha sar-kashida kirnon ka nur le kar
tamam bahnon ke aanchalon ka waqar le kar
tamam maon ki loriyon ka mazar le kar
yatim palkon ki shabnami aarzuon ka soz le kar
hum apni un beTiyon ki mangon ka husn le kar
ki jin ki sindur ko khurach kar
tum aaj barud ki surangen bichha rahe ho
hum apni dharti ke zarre zarre mein
shoala-afshan jalal le kar
zarur aaenge
jald aaenge
wo daur ab dur to nahin hai
ki waqt jab munsifi karega
kabhi to tariKH ki adalat mein
tum bhi aaoge
hum bhi aaenge

Nazm
TariKH ki adalat
Hasan Hameedi