اردو हिंदी
Taaruf | Shaahi Shayari
taaruf

Nazm

Taaruf

Nashtar Amrohvi

;

mere dada jo british fauj ke nami bhagoDe the
na jaane kitni jailon ke unhon ne qufl toDe the

charas ka aur ganje ka wo karobar karte the
KHuda se bhi nahin Darte the bas begam se Darte the

mere tae bhi apne waqt ke mashhur cheater the
kai jailon ke to wo half-yearly bhi wisitor the

har ek ghunda unhen ghar baiThe ghunda-tex deta tha
tijori toDne ka fan unhin se main ne sikha tha

chacha marhum nasik jail se jab wapas aae the
to mashhur-e-zamana ek tawaif sath lae the

wo Thumri dadra aur bhairwin mein baat karti thi
tarannum mein surayya aur lata ko mat karti thi

mere walid KHuda baKHshe kahin aate na jate the
sahar se sham tak aman ke aage dum hilate the

thi ek bakre numa burraq daDhi un ke chehre par
magar phir bhi kabaDDi khelte the raat ko aksar

main apne bap dada ke hi naqsh-e-pa pe chalta hun
magar bas farq itna hai wo ghunDe the main neta hun

police pichhe thi un ke third-degree ki ziyafat ko
mere pichhe bhi rahti hai magar meri hifazat ko

nahin parwa ki leader kaun achchha kaun ganda hai
siyasat meri rozi hai election mera dhanda hai

siyasat mein qadam rakh kar haqiqat main ne ye jaani
chura kare kunad aaqil ki baz aayad pashemani