ai dil pahle bhi tanha the, ai dil hum tanha aaj bhi hain
aur un zaKHmon aur daghon se ab apni baaten hoti hain
jo zaKHm ki surKH gulab hue, jo dagh ki badar-e-munir hue
is tarha se kab tak jina hai, main haar gaya is jine se
koi abr uDe kisi qulzum se ras barse mere virane par
koi jagta ho koi kuDhta ho mere der se wapas aane par
koi sans bhare mere pahlu mein koi hath dhare mere shane par
aur dabe dabe lahje mein kahe tum ne ab tak baDe dard sahe
tum tanha tanha jalte rahe tum tanha tanha chalte rahe
suno tanha chalna khel nahin, chalo aao mere ham-rah chalo
chalo nae safar par chalte hain, chalo mujhe bana ke gawah chalo
Nazm
SurKH gulab aur badar-e-munir
Saqi Faruqi