suna hai jangalon ka bhi koi dastur hota hai
suna hai sher ka jab peT bhar jae to wo hamla nahin karta
daraKHton ki ghani chhanw mein ja kar leT jata hai
hawa ke tez jhonke jab daraKHton ko hilate hain
to maina apne bachche chhoD kar
kawwe ke anDon ko paron se tham leti hai
suna hai ghonsle se koi bachcha gir paDe to sara jangal jag jata hai
suna hai jab kisi naddi ke pani mein
bae ke ghonsle ka gandumi rang larazta hai
to naddi ki rupahli machhliyan us ko paDosan man leti hain
kabhi tufan aa jae, koi pul TuT jae to
kisi lakDi ke taKHte par
gilahri, sanp, bakri aur chita sath hote hain
suna hai jangalon ka bhi koi dastur hota hai
KHudawanda! jalil o mo'tabar! dana o bina munsif o akbar!
mere is shahr mein ab jangalon hi ka koi qanun nafiz kar!
koi dastur nafiz kar!
Nazm
Suna hai
Zehra Nigaah