wo ek raat thi aisi ki qadr-o-asra ne
nigah apni jamai to phir haTai nahin
wo regzar ke sine pe nasb ek KHema
na jaane kaun si tariKH likhne wala tha
sukut-e-shab mein bhi aahaT thi inqilabon ki
saji thi bazm wahan aasman janabon ki
hawa-e-dasht bhi aahista-pa guzarti thi
sawere marka hona tha haqq-o-baatil mein
ajib josh tha jazba tha jaan-nisaron mein
wo jaanta tha wafadar hain sabhi nasir
wo sar kaTaenge lekin na sath chhoDenge
charag-e-KHema bujhane ka ye na tha maqsad
ki us ko yawar-o-ansar ko parakhna tha
wo raushni mein unhen lana chahta tha faqat

Nazm
Sukut-e-shab mein
Tariq Qamar