phuT paDin mashriq se kirnen
haal bana mazi ka fasana
gunja mustaqbil ka tarana
bheje hain ahbab ne tohfe
aTe paDe hain mez ke kone
dulhan bani hui hain rahen
jashn manao sal-e-nau ke
nikli hai bangle ke dar se
ek muflis dahqan ki beTi
afsurda murjhai hui si
jism ke dukhte joD dabaati
aanchal se sine ko chhupati
muTThi mein ek note dabae
jashn manao sal-e-nau ke
bhuke zard gadagar bachche
kar ke pichhe bhag rahe hain
waqt se pahle jag uThe hain
pip bhari aanhken sahlate
sar ke phoDon ko khujlate
wo dekho kuchh aur bhi nikle
jashn manao sal-e-nau ke
Nazm
Subh-e-nau-ruz
Sahir Ludhianvi