اردو हिंदी
Status marriage | Shaahi Shayari
status marriage

Nazm

Status marriage

Khalid Irfan

;

main ne status ki KHatir kar to li shadi magar
mashriqi shauhar ko din mein aa gae tare nazar

naw jo mujh ko mili zinda tha is ka naKHuda
meri manzur-e-nazar pahle se thi shadi-shuda

bar-banae-maslahat mujh ko hasin lagti thi wo
thi citizen aur kahin se zan nahin lagti thi wo

aaise aaise gul khilae us but-e-gulfam ne
murgh ko ullu bana deti thi mere samne

kya pata tha mujh ko pachhtana paDega umr bhar
main ne status ki KHatir kar to li shadi magar

main use shadi se pahle an-jali kahta raha
nim ki Tahni ko bhi champa-kali kahta raha

misr ki kali ho ya ho chin ki chipTi koi
carbon copy ko auraq-e-jali kahta raha

ek chini se kaha tum sharbat-e-unnab ho
aur ek misri ko misri ki Dali kahta raha

ek pasta-qad thi jis ko padmani kahta tha main
bint-e-africa ko hire ki kani kahta tha main

meri majburi ne oDha tha ghilaf-e-maslahat
zahar lagti thi magar us ko honey kahta tha main

us ke KHarraTon ko fitri bankpan kahna paDa
ful badan aurat thi jis ko gul-badan kahna paDa

miT gae the us ki tahriron ke sab zer-o-zabar
main ne status ki KHatir kar to li shadi magar

har design har color ka aashna rakhti thi wo
aur talash-e-bar ka jari silsila rakhti thi wo

ek shauhar rus ka ek chin ka rakhti thi wo
apne bistar par junubi-asia rakhti thi wo

band mujh pe kar diye sab pyar ke raste magar
sabiqa shauhar pe darwaza khula rakhti thi wo

pur-tapak itni ki mujh par bhunkne ke waste
sehn mein apne sagan-e-KHush-nawa rakhti thi wo

sari duniya ki KHabar rakhti thi KHud se be-KHabar
main ne status ki KHatir kar to li shadi magar

mammy daddy se juda mamun mamani ke baghair
us ke nana bhi guzar karte the nani ke baghair

tha laDakpan se use zauq-e-kutub-bini magar
zinda rahti thi kitab-e-asmani ke baghair

us nai biwi mein aisa maghribi andaz tha
din mere aaram se guzre purani ke baghair

wo bhi kuchh urdu mein kar leti thi Tamak-Toiyyan
main bhi english bol leta tha rawani ke baghair

mujh se kahti thi safai nisf iman hai magar
rest-room uTh kar chali jati thi pani ke baghair

waqif-e-atlantic thi be-niyaz-e-KHushk-o-tar
main ne status ki KHatir kar to li shadi magar