ek zara sochne do
is KHayaban mein
jo is lahza bayaban bhi nahin
kaun si shaKH mein phul aae the sab se pahle
kaun be-rang hui ranj-o-tab se pahle
aur ab se pahle
kis ghaDi kaun se mausam mein yahan
KHun ka qaht paDa
gul ki shah-rag pe kaDa
waqt paDa
sochne do
sochne do
ek zara sochne do
ye bhara shahr jo ab wadi-e-viran bhi nahin
is mein kis waqt kahan
aag lagi thi pahle
is ke saf-basta darichon mein se kis mein awwal
zah hui surKH shuaon ki kaman
kis jagah jot jagi thi pahle
sochne do
hum se us des ka tum nam o nishan puchhte ho
jis ki tariKH na jughrafiya ab yaad aae
aur yaad aae to mahbub-e-guzishta yaad aae
ru-ba-ru aane se ji ghabrae
han magar jaise koi
aise mahbub ya mahbuba ka dil rakhne ko
aa nikalta hai kabhi raat bitane ke liye
hum ab us umr ko aa pahunche hain jab hum bhi yunhi
dil se mil aate hain bas rasm nibhane ke liye
dil ki kya puchhte ho
sochne do
Nazm
Sochne do
Faiz Ahmad Faiz