apne sine se lagae hue ummid ki lash
muddaton zist ko nashad kiya hai main ne
tu ne to ek hi sadme se kya tha do-chaar
dil ko har tarah se barbaad kiya hai main ne
jab bhi rahon mein nazar aae hariri malbus
sard aahon mein tujhe yaad kiya hai main ne
aur ab jab ki meri ruh ki pahnai mein
ek sunsan si maghmum ghaTa chhai hai
tu damakte hue aariz ki shuaen le kar
gul-shuda shamen jalane ko chali aai hai
meri mahbub ye hangama-e-tajdid-e-wafa
meri afsurda jawani ke liye ras nahin
main ne jo phul chune the tere qadmon ke liye
un ka dhundla sa tasawwur bhi mere pas nahin
ek yaKH-basta udasi hai dil o jaan pe muhit
ab meri ruh mein baqi hai na umid na josh
rah gaya dab ke giran-bar salasil ke tale
meri darmanda jawani ki umangon ka KHarosh
regzaron mein bagulon ke siwa kuchh bhi nahin
saya-e-abr-e-gurezan se mujhe kya lena
bujh chuke hain mere sine mein mohabbat ke kanwal
ab tere husn-e-pashiman se mujhe kya lena
tere aariz pe ye Dhalke hue simin aansu
meri afsurdagi-e-gham ka mudawa to nahin
teri mahbub nigahon ka payam-e-tajdid
ek talafi hi sahi meri tamanna to nahin
Nazm
Shikast
Sahir Ludhianvi