kya hind ka zindan kanp raha hai gunj rahi hain takbiren
uktae hain shayad kuchh qaidi aur toD rahe hain zanjiren
diwaron ke niche aa aa kar yun jama hue hain zindani
sinon mein talatum bijli ka aankhon mein jhalakti shamshiren
bhukon ki nazar mein bijli hai topon ke dahane ThanDe hain
taqdir ke lab ko jumbish hai dam toD rahi hain tadbiren
aankhon mein gada ki surKHi hai be-nur hai chehra sultan ka
taKHrib ne parcham khola hai sajde mein paDi hain tamiren
kya un ko KHabar thi zer-o-zabar rakhte the jo ruh-e-millat ko
ublenge zamin se mar-e-siyah barsengi falak se shamshiren
kya un ko KHabar thi sinon se jo KHun churaya karte the
ek roz isi be-rangi se jhalkengi hazaron taswiren
kya un ko KHabar thi honTon par jo qufl lagaya karte the
ek roz isi KHamoshi se Tapkengi dahakti taqriren
sambhlo ki wo zindan gunj uTha jhapTo ki wo qaidi chhuT gae
uTTho ki wo baiThin diwaren dauDo ki wo TuTi zanjiren
Nazm
Shikast-e-zindan ka KHwab
Josh Malihabadi