moti ho ki shisha jam ki dur
jo TuT gaya so TuT gaya
kab ashkon se juD sakta hai
jo TuT gaya so chhuT gaya
tum nahaq TukDe chun chun kar
daman mein chhupae baiThe ho
shishon ka masiha koi nahin
kya aas lagae baiThe ho
shayad ki inhin TukDon mein kahin
wo saghar-e-dil hai jis mein kabhi
sad-naz se utra karti thi
sahba-e-gham-e-jaanan ki pari
phir duniya walon ne tum se
ye saghar le kar phoD diya
jo mai thi baha di miTTi mein
mehman ka shahpar toD diya
ye rangin reze hain shayad
un shoKH bilorin sapnon ke
tum mast jawani mein jin se
KHalwat ko sajaya karte the
nadari daftar bhuk aur gham
un sapnon se Takraate rahe
be-rahm tha chaumukh pathrao
ye kanch ke Dhanche kya karte
ya shayad in zarron mein kahin
moti hai tumhaari izzat ka
wo jis se tumhaare ijz pe bhi
shamshad-qadon ne rashk kiya
is mal ki dhun mein phirte the
tajir bhi bahut rahzan bhi kai
hai chor-nagar yan muflis ki
gar jaan bachi to aan gai
ye saghar shishe lal-o-gohar
salim hon to qimat pate hain
yun TukDe TukDe hon to faqat
chubhte hain lahu rulwate hain
tum nahaq shishe chun chun kar
daman mein chhupae baiThe ho
shishon ka masiha koi nahin
kya aas lagae baiThe ho
yaadon ke girebanon ke rafu
par dil ki guzar kab hoti hai
ek baKHiya udheDa ek siya
yun umr basar kab hoti hai
is kar-gah-e-hasti mein jahan
ye saghar shishe Dhalte hain
har shai ka badal mil sakta hai
sab daman pur ho sakte hain
jo hath baDhe yawar hai yahan
jo aankh uThe wo baKHtawar
yan dhan-daulat ka ant nahin
hon ghat mein Daku lakh magar
kab luT-jhapaT se hasti ki
dokanen KHali hoti hain
yan parbat-parbat hire hain
yan sagar sagar moti hain
kuchh log hain jo is daulat par
parde laTkate phirte hain
har parbat ko har sagar ko
nilam chaDhate phirte hain
kuchh wo bhi hain jo laD bhiD kar
ye parde noch giraate hain
hasti ke uThai-giron ki
har chaal uljhae jate hain
in donon mein ran paDta hai
nit basti-basti nagar-nagar
har baste ghar ke sine mein
har chalti rah ke mathe par
ye kalak bharte phirte hain
wo jot jagate rahte hain
ye aag lagate phirte hain
wo aag bujhate rahte hain
sab saghar shishe lal-o-gohar
is bazi mein bad jate hain
uTTho sab KHali hathon ko
is ran se bulawe aate hain
Nazm
Shishon ka masiha koi nahin
Faiz Ahmad Faiz