ek aurat bahut udas malul
nel galon par
honT mein sujan
baal bikhre hue pareshan se
us ke shauhar ne aaj mara hai
log kahte hain raat ghaeb thi
daur-e-nau ke latif goshon se
na-balad wo gharib shauhar hai
biwiya,n ghar se raat ko bahar
rah sakin to ye ain izzat hai
aaj ke daur ki sharafat hai
is nae daur ki nai tahzib
shauhar-e-be-shuur kya jaane
Nazm
Shauhar ne aaj
Mohammad Yusuf Papa