اردو हिंदी
Shahr-badar | Shaahi Shayari
shahr-badar

Nazm

Shahr-badar

Asghar Nadeem Sayed

;

sham ka pinjra mere jism pe gir jata hai
aur main darja dom ka qaidi

dushman ke aKHbar se puri duniya ke logon ki bigaDti shaklen dekhne lagta hun
aur suraj ki aazadi

mere jine ki KHwahish ko apna dost banane aa jati hai
mere nashte ke bartan mein meri mohabbat ke barson ka sara zaiqa bhar jata hai

cigarette ke har kash se dariya khinch aate hain
aur parinde apni auladon ko mere git ka choga dete hain

jab mere panw un ke banae zabton ki daldal mein dhans jate hain
meri aankhen lakhon mil safar kar jati hain

aur mere bazu rail ki donon paTriyan ban kar phailte hain
jab meri ragon mein shaeri KHun banati hai

main sham ka pinjra toD ke bahar aa jata hun
mere panw ke sab rishte ek duje se juD jate hain

mere lafz daraKHton ke gumbad mein kabutar ban ke gaTalne lagte hain
mein apne sirhane baiThe neruda se kuchh baaten puchhta hun