lakh pardon mein rahun bhed mere kholti hai
shairi sach bolti hai
main ne dekha hai ki jab meri zaban Dolti hai
shairi sach bolti hai
tera israr ki chahat meri betab na ho
waqif is gham se mera halqa-e-ahbab na ho
to mujhe zabt ke sahraon mein kyun rolti hai
shairi sach bolti hai
ye bhi kya baat ki chhup chhup ke tujhe pyar karun
gar koi puchh hi baiThe to main inkar karun
jab kisi baat ko duniya ki nazar taulti hai
shairi sach bolti hai
main ne is fikr mein kaTen kai raaten kai din
mere sheron mein tera nam na aae lekin
jab teri sans meri sans mein ras gholti hai
shairi sach bolti hai
tere jalwon ka hai par teri meri ek ek ghazal
to mere jism ka saya hai to katra ke na chal
parda-dari to KHud apna hi bharam kholti hai
shairi sach bolti hai
Nazm
Shairi sach bolti hai
Qateel Shifai