اردو हिंदी
Shair ki duniya | Shaahi Shayari
shair ki duniya

Nazm

Shair ki duniya

Ameer Aurangabadi

;

hota hun jab main tanha ye sochta hun aksar
aabaadiyan hain achchhi ya jangalon ke manzar

shair hun main mera ho maskan alag jahan se
shahron ke shor-o-ghul se tarik aasman se

sae mein peD ke main bistar lagaun apna
ThanDi hawa ho aati bahta ho saf dariya

ranginiyan shafaq ki dil ko mere lubhaen
shams-o-qamar jahan ke qisse nae sunaen

qudrat ka ham-zaban hun aur us ke bhed paun
gahraiyon mein us ki goya utar main jaun

2
par aql ka hai kahna ye sab ghalat hai nadan

gungi hai teri qudrat manzar hain us ke be-jaan
be-kar hai agar to dasht-o-jabal basae

be-sarfa hai agar to hamdam unhen banae
shair tujhe hain kahte hai ishq tera jina

fitrat hai pak teri hai qalb-e-tur-e-sina
tu nur-e-sarmadi ki hai jhalkiyan dikhata

insan ko aasman ki sairen hai to karaata
tera qalam jahan mein halchal si Dalta hai

Dube ubhaarta hai girte sambhaalta hai
3

par kyun tujhe ai shair basti se hai kudurat
aabaadiyon mein pal kar aabaadiyon se nafrat

insan aur us ki fitrat parkhi nahin hai tu ne
aalam aur us ki wusat pai nahin hai tu ne

matam kahin bapa hai KHushiyan kahin hain hoti
iqbaal hai kahin to qismat kahin hai soti

jo ek taraf qaza ke tufan aa rahe hain
tu ek taraf sahab-e-rahmat bhi chha rahe hain

tera hai rutba aali is bazm-e-zindagi mein
aa aa sharik ho ja is razm-e-zindagi mein

aalam ko ghaTa de aasaishen baDha de
sham-e-suKHan jala kar sab zulmaten haTa de

aa kab se muntazir hai aadam ka ye gharana
aabaad is mein ho ja teri yahi hai duniya