bhul jaana unhen aasan hai ai dil
tu ne pahle bhi kai bar qasam khai hai
dard jab had se baDha zabt ka yara na raha
un ki ek ek ada yaad mujhe aai hai
wo tabassum mein nihan tanz ke miThe nashtar
wo takallum mein taghaful ko chhupane ki ada
ruk ke har lamha nai tarah se aaghaz-e-sitam
jaise kuchh kho ke kisi chiz ko pane ki ada
meri KHamoshi pe bebak-nigahi un ki
jazba-e-shauq ko kuchh aur baDhane ki ada
wo musalsal meri baaton pe tawajjoh ki nazar
ruKH pe machli hui zulfon ko haTane ki ada
mere ashaar ko sunte hi wo aankhon mein ghurur
mujh ko har tarah se diwana banane ki ada
be-KHudi dekh ke meri wahi begana-rawi
pas aa aa ke bahut dur wo jaane ki ada
ruKHsati lamhon mein honTon pe duaon ka guman
dar pe ruk kar meri KHatir se wo jaane ki ada
aaj rah rah ke taDapta hun nai baat hai kya
dil ne kyun tark-e-mohabbat ki qasam khai hai
wo sitam lakh karen un ka to shewa hai yahi
ishq ki tark-e-mohabbat mein bhi ruswai hai
ab to jalte hue jina hi paDega ai dil
tu ne KHud apne kiye ki ye saza pai hai
Nazm
Saza
Baqar Mehdi