meri sanson mein soya hua aasman jag uTha
KHun ki raftar ko chir kar gir paDi raushni zindagi!
zindagi is zamin par
zamin par samundar
samundar ka shaffaf pani rawani
rawani ki ungli pakaD kar
kai rang maujon ka aahang ban kar chale
apne hone ka nairang ban kar chale
sat patal ki kokh hai
phuTi anjaan sadiyan, yugon ki tapassya
badan ke ghane jangalon mein
wo rishiyon ka, muniyon ka barson ka tap
wo bhule zamanon ke mubham kinare
wo manus reton pe banti bigaDti kai saaten, ranjishen, rahaten,
aaj phir se palaT aai hain mujh mein be-saKHta!
meri sanson ke andar chamakte sitare
utar ab bujhi raat ki ye qaba
jagmaga ki
lahu mein hawaon ka phera hua
KHala ke dahan mein sawera hua
meri ruh ka rang tera hua
Nazm
Sawera
Riyaz Latif