ai sati ai jalwa-gah-e-shola-e-tanwir-e-husn
pak-damani ka naqsha hai teri taswir-e-husn
ye tan-e-nazuk tera ye shola-ha-e-atshin
ye chita ki aatish-e-sozan ye jism-e-naznin
saiqa hai barq ka tere dil-e-muztar ki aag
phunk deti hai tujhe soz-e-gham-e-shauhar ki aag
KHak ho kar bhi tere dagh-e-jigar bujhte nahin
aah teri rakh ke barson sharar bujhte nahin
hind ko hai naz teri himmat-e-mardana par
tu charagh-e-kushta hai KHakistar-e-parwana par
aag mein hai tu sapind-e-shauq jalne ke liye
sham-e-matam hai shab-e-gham mein pighalne ke liye
garmi-e-hangama-e-mahshar teri mahfil mein hai
sard jo hoti nahin wo aag tere dil mein hai
kab gawara aah hai soz-e-gham-e-shauhar tujhe
hai har ek tar-e-nafas ek shola-e-muztar tujhe
uf ri shauhar ki chita par shola-afrozi teri
jite-ji soz-e-mohabbat mein jigar-sozi teri
jaan-gudazi ki ada ye sham-e-mahfil mein kahan
garmi-e-soz-e-wafa ye sham-e-mahfil mein kahan
wo chita ki aatish-e-jaan-soz wo dud-e-siyah
shauhar-e-murda ka sar wo zanu-e-nazuk pe aah
aag ke wo hae shole aur wo mukhDa chand sa
lab pe kam kam shoKHi-e-barq-e-tabassum ki ada
halka phulka jism-e-nazuk par dupaTTa surKH surKH
wasl-e-ruhani ki shadi se wo chehra surKH surKH
aalam-e-dud-e-siyah wo zulf-e-ambar-fam mein
dauDne wale wo shole halqa-ha-e-dam mein
aatish-e-sozan mein bhi wo aah shauhar ka KHayal
aur wo dil mein garmi-e-hangama-e-shauq-e-visal
jal ke soz-e-iztirab-e-shauq mein parwana-war
KHuld mein shauhar se hona uf wo KHush KHush ham-kanar
Dal dena wo gale mein hans ke banhen pyar se
dil lubha lena ada-e-shewa-e-guftar se
halki halki chandni kaifiyat-e-gul-gasht-e-bagh
wo lab-e-ju aah husn o ishq ke do shab charagh
tujh pe ai naz-afrin shauhar-parasti KHatm hai
ek sharar-e-arzu mein teri hasti KHatm hai
Nazm
Sati
Suroor Jahanabadi