malum nahin kya hua ki jins mohabbat pe hawi ho gai
goya mohabbat haar gai aur jins jit gai
jo hath hath mein paiwast ho sakte the
wo hath kahan hain
jo hath ko thame kuchh dur chal sakte the
kya un hathon ko toD diya gaya
wo hath kahan gae jo nazm likhte the
wo hath kahan gae jo aasman ko zamin par utar sakte the
kaun kab kahan
phenka gaya
aur ab to jugnuon se bhare jangal mein man akeli hai
ek jugnu bhi nahin jo raushni ko hisar kare
aur man ko us ke jilau mein le aae
ab itna samay nahin ki
aasman ya zamin use bosa den
Nazm
Sar-e-asman sar-e-zamin
Ahmad Hamesh