samundar ne tum se kya kaha
istighasa ke wakil ne tum se puchha
aur tum rone lagin
janab-e-ali ye sawal ghair-zaruri hai
safai ke wakil ne tumhaare aansu ponchhte hue kaha
adalat ne tumhaare wakil ka e'tiraaz
aur tumhaare aansu mustarad kar diye
aansu record-room mein chale gae
aur tum apni koThari mein
ye shahr sath-e-samandar se niche aabaad hai
ye adalaten shahr ki satah se bhi niche
aur zer-e-samaat mulzimon ki koThriyan
in se bhi niche
koThri mein koi tumhein resham ki ek Dor de jata hai
tum har peshi tak ek shaal bun leti ho
aur adalat barKHast ho jaane ke baad
use udheD deti ho
ye Dor tumhein kahan se mili
suprentendent of prisons tum se puchhta hai
ye Dor ek shaKHs laya tha
apne panw mein bandh kar
ek bala ko KHatm karne ke liye
ek pur-pech raste se guzarne ke liye
wo aadmi ab kahan hai
ThanDe pani mein tumhein ghota de kar puchha jata hai
wo aadmi rasta kho baiTha
samundar ne tum se yahi kaha tha
Nazm
Samundar ne tum se kya kaha
Afzal Ahmad Syed