waqt ki zanjir to kaT nahin sakti magar
khol ghaDi do ghaDi
qufl dar-e-zat ka
aaina-e-zabt ko sang-e-tamanna se toD
aur KHushi se baha dil mein ruka sail-e-dard
soch zara der ko
gosht ke malbus mein pinjra hain ye pisliyan
jis ke ajab sehr mein
qaid teri ruh ka taer-e-KHush-rang hai
aankh uTha kar to dekh
bazu kushada kiye wo shajar-e-shash-jihat
kitne zamanon se hai sirf tera muntazir
taer-e-KHush-rang ki hamrahi-e-shauq mein
pinjre samet uD zara
hairat o imkan ki wadi-e-na-muKHtatim
lamha-e-la ki taraf

Nazm
Safar la safar
Saeed Ahmad