tumhaari yaad mere dil ka dagh hai lekin
safar ke waqt to be-tarah yaad aati ho
baras baras ki ho aadat ka jab hisab to phir
bahut satati ho jaanam bahut satati ho
main bhul jaun magar kaise bhul jaun bhala
azab-e-jaan ki haqiqat ka apni afsana
mere safar ke wo lamhe tumhaari pur-haali
wo baat baat mujhe bar bar samjhana
ye panch kurte hain dekho ye panch pajame
Dale hue hain qamar-band in mein aur dekho
ye shawe-box hai aur ye hai old spice
nahin huzur ki jhonjal ka ab koi bais
ye Diary hai aur is mein pate hain aur number
ise KHayal se bakse ki jeb mein rakhna
hai arz hazrat-e-ghaeb-dimagh bandi ki
ki apne aib ki haalat ko ghaib mein rakhna
ye tin coat hain patlun hain ye Taiyan hain
bandhi hui hain ye sab tum ko kuchh nahin karna
ye william hai 'onTal' hai aur 'TarpaTi-nal'
tum in ke sath meri jaan drink se Darna
bahut ziyaada na pina ki kuchh na yaad aae
jo lucknow mein hua tha wo ab dobara na ho
ho tum suKHan ki ana aur tamkanat jaanam
mazaq ka kisi 'insha' ko tum se yara na ho
wo 'jaun' jo nazar aata hai us ka zikr nahin
tum apne 'jaun' ka jo tum mein hai bharam rakhna
ajib baat hai jo tum se kah rahi hun main
KHayal mera ziyaada aur apna kam rakhna
ho tum bala ke baghawat-pasand talKH-kalam
KHud apne haq mein ek aazar ho gae ho tum
tumhaare sare sahaba ne tum ko chhoD diya
mujhe qalaq hai ki be-yar ho gae ho tum
ye bank-kar manager ye apne technocrat
koi bhi shubh nahin hain ye ek abas ka ThiThol
main KHud bhi in ko cro-magnon samajhti hun
ye shandar janawar hain daftaron ka maKHaul
main jaanti hun ki tum sun nahin rahe meri baat
samaj jhuT sahi phir bhi us ka pas karo
hai tum ko taish hai baalishtiyon ki ye duniya
to phir qarine se tum un ko be-libas karo
tum ek sada o barjasta aadmi Thahre
mizaj-e-waqt ko tum aaj tak nahin samjhe
jo chiz sab se zaruri hai wo main bhul gai
ye passport hai is ko sambhaal ke rakhna
jo ye na ho to KHuda bhi bashar tak aa na sake
so tum shuur ka apne kamal kar rakhna
meri shikast ke zaKHmon ki sozish-e-jawed
nahin raha mere zaKHmon ka ab hisab koi
hai ab jo haal mera wo ajab tamasha hai
mera azab nahin ab mera azab koi
nahin koi meri manzil pe hai safar darpesh
hai gard gard abas mujh ko dar-ba-dar pesh
Nazm
Safar ke waqt
Jaun Eliya