saDak be-dhaDak ham-safar hai
chali ja rahi hai ki bas manzil-e-shauq hadd-e-nazar hai
kai ham-safar rah gae raste mein
magar ye rawan hai hamesha
shajar shahr naddi musafir
har ek se use pyar sa hai
milan ki kai hasraten apne andar sameTe
kaDe faslon ki masafat lapeTe
yunhi leTe leTe
chali ja rahi hai
sujhati hui ham-safar ko
jahan bhi to ek rahguzar hai
saDak be-dhaDak ham-safar hai
Nazm
SaDak
Krishna Mohan