sab maya hai, sab Dhalti phirti chhaya hai
is ishq mein hum ne jo khoya jo paya hai
jo tum ne kaha hai, 'faiz' ne jo farmaya hai
sab maya hai
han gahe gahe did ki daulat hath aai
ya ek wo lazzat nam hai jis ka ruswai
bas is ke siwa to jo bhi sawab kamaya hai
sab maya hai
ek nam to baqi rahta hai, gar jaan nahin
jab dekh liya is saude mein nuqsan nahin
tab shama pe dene jaan patinga aaya hai
sab maya hai
malum hamein sab qais miyan ka qissa bhi
sab ek se hain, ye ranjha bhi ye 'insha' bhi
farhad bhi jo ek nahr si khod ke laya hai
sab maya hai
kyun dard ke name likhte likhte raat karo
jis sat samundar par ki nar ki baat karo
us nar se koi ek ne dhoka khaya hai?
sabab maya hai
jis gori par hum ek ghazal har sham likhen
tum jaante ho hum kyunkar us ka nam likhen
dil us ki bhi chaukhaT chum ke wapas aaya hai
sab maya hai
wo laDki bhi jo chand-nagar ki rani thi
wo jis ki alhaD aankhon mein hairani thi
aaj us ne bhi paigham yahi bhijwaya hai
sab maya hai
jo log abhi tak nam wafa ka lete hain
wo jaan ke dhoke khate, dhoke dete hain
han Thok-baja kar hum ne hukm lagaya hai
sab maya hai
jab dekh liya har shaKHs yahan harjai hai
is shahr se dur ek kuTiya hum ne banai hai
aur us kuTiya ke mathe par likhwaya hai
sab maya hai
Nazm
Sab maya hai
Ibn e Insha