ye sanp aaj jo phan uThae
mere raste mein khaDa hai
paDa tha qadam chand par mera jis din
usi din ise mar Dala tha main ne
ukhaDe the sab dant kuchla tha sar bhi
maroDi thi dum toD di thi kamar bhi
magar chand se jhuk ke dekha jo main ne
to dum is ki hilne lagi thi
ye kuchh rengne bhi laga tha
ye kuchh rengta kuchh ghisaTta hua
purane shiwale ki jaanib chala
jahan dudh is ko pilaya gaya
paDhe panditon ne kai mantar aise
ye kam-baKHt phir se jilaya gaya
shiwale se nikla wo phunkarta
rag-e-arz par Dank sa marta
baDha main ki ek bar phir sar kuchal dun
ise bhaari qadmon se apne masal dun
qarib ek viran masjid thi, masjid mein
ye ja chhupa
jahan is ko petrol se ghusl de kar
hasin ek tawiz gardan mein Dala gaya
hua jitna sadiyon mein insan buland
ye kuchh us se uncha uchhaala gaya
uchhal ke ye girja ki dahliz par ja gira
jahan is ko sone ki kechul pahnai gai
salib ek chandi ki sine pe us ke sajai gai
diya jis ne duniya ko paigham-e-amn
usi ke hayat-afrin nam par
use jang-bazi sikhai gai
bamon ka gulu-band gardan mein Dala
aur is dhaj se maidan mein us ko nikala
paDa us ka dharti pe saya
to dharti ki raftar rukne lagi
andhera andhera zamin se
falak tak andhera
jabin chand taron ki jhukne lagi
hui jab se science zar ki mutia
jo tha alam ka e'tibar uTh gaya
aur is sanp ko zindagi mil gai
ise hum ne zahhak ke bhaari kandhe pe dekha tha ek din
ye hindu nahin hai musalman nahin
ye donon ka maghz aur KHun chaTta hai
bane jab ye hindu musalman insan
usi din ye kam-baKHt mar jaega
Nazm
Sanp
Kaifi Azmi