اردو हिंदी
Saman diwali ka | Shaahi Shayari
saman diwali ka

Nazm

Saman diwali ka

Nazeer Akbarabadi

;

har ek makan mein jala phir diya diwali ka
har ek taraf ko ujala hua diwali ka

sabhi ke dil mein saman bha gaya diwali ka
kisi ke dil ko maza KHush laga diwali ka

ajab bahaar ka hai din bana diwali ka
jahan mein yaro ajab tarah ka hai ye tyauhaar

kisi ne naqd liya aur koi kare hai udhaar
khilaune khelon batashon ka garm hai bazar

har ek dukan mein charaghon ki ho rahi hai bahaar
sabhon ko fikr hai ab ja-ba-ja diwali ka

miThaiyon ki dukanen laga ke halwai
pukarte hain ki la la! diwali hai aai

batashe le koi barfi kisi ne tulwai
khilaune walon ki in se ziyaada bin aai

goya unhon ke wan raj aa gaya diwali ka
siraf haram ki kauDi ka jin ka hai bewpar

unhon ne khaya hai is din ke waste hai udhaar
kahe hai hans ke qaraz-KHwah se har ek ek bar

diwali aai hai sab de dilaenge ai yar
KHuda ke fazl se hai aasra diwali ka

makan lep ke Thaliya jo kori rakhawai
jala charagh ko kauDi wo jald jhankai

asal juari the un mein to jaan si aai
KHushi se kud uchhal kar pukare o bhai

shugun pahle karo tum zara diwali ka
shagun ki bazi lagi pahle yar ganDe ki

phir us se baDh ke lagi tin chaar ganDe ki
phiri jo aisi tarah bar bar ganDe ki

to aage lagne lagi phir hazar ganDe ki
kamal nirKH hai phir to laga diwali ka

kisi ne ghar ki haweli giro rakha haari
jo kuchh thi jins mayassar bana bana haari

kisi ne chiz kisi kisi ki chura chhupa haari
kisi ne gaThri paDosan ki apni la haari

ye haar jit ka charcha paDa diwali ka
kisi ko daw pe lanakki muTh ne mara

kisi ke ghar pe dhara soKHta ne angara
kisi ko nard ne chaupaD ke kar diya zara

langoTi bandh ke baiTha izar tak haara
ye shor aa ke macha ja-ba-ja diwali ka

kisi ki joru kahe hai pukar ai phaDwe
bahu ki naughre beTe ke hath ke khaDwe

jo ghar mein aawe to sab mil kiye hain sau ghaDwe
nikal tu yan se tera kaam yan nahin bhaDwe

KHuda ne tujh ko to shohda kiya diwali ka
wo us ke jhonTe pakaD kar kahe hai marunga

tera jo gahna hai sab tar tar utarunga
haweli apni to ek daw par main haarunga

ye sab to haara hun KHandi tujh bhi haarunga
chaDha hai mujh ko bhi ab to nasha diwali ka

tujhe KHabar nahin KHandi ye lat wo pyari hai
kisi zamane mein aage hua jo jwari hai

to us ne joru ki nath aur izar utari hai
izar kya hai ki joru talak bhi haari hai

suna ye tu ne nahin majra diwali ka
jahan mein ye jo diwali ki sair hoti hai

to zar se hoti hai aur zar baghair hoti hai
jo haare un pe KHarabi ki fair hoti hai

aur un mein aan ke jin jin ki KHair hoti hai
to aaDe aata hai un ke diya diwali ka

ye baaten sach hain na jhuT un ko jaaniyo yaro!
nasihaten hain unhen dil se maniyo yaro!

jahan ko jao ye qissa bakhaniyo yaro!
jo jwari ho na bura us ka maniyo yaro

'nazir' aap bhi hai jwariya diwali ka