uTThi hai maghrib se ghaTa
pine ka mausam aa gaya
hai raqs mein ek mah-laqa
nazuk ada naz-afrin
han nachti ja gae ja
nazron se dil barmae ja
taDpae ja taDpae ja
o dushman-e-duniya-o-din!
tera thirakna KHub hai
teri adaen dil-nashin
lekin Thahar tu kaun hai
o nim-uryan naznin
kya mashriqi aurat hai tu
hargiz nahin hargiz nahin
teri hansi bebak hai
teri nazar chaalak hai
uff kis qadar dil-soz hai
taqrir bazari teri
kitni hawas-amoz hai
ye sada purkari teri
sharm aur izzat waliyan
hoti hain iffat waliyan
wo husn ki shahzadiyan
parde ki hain aabaadiyan
chashm-e-falak ne aaj tak
dekhi nahin un ki jhalak
sarmaya-e-sharm-o-haya
zewar hai un ke husn ka
shauhar ke dukh sahti hain wo
munh se nahin kahti hain wo
kab samne aati hain wo
ghairat se kaT jati hain wo
eazaz-e-millat un se hai
nam-e-sharafat un se hai
iman par qaem hain wo
pakiza-o-saem hain wo
tujh mein nahin sharm-o-haya
tujh mein nahin mehr-o-wafa
sach sach bata tu kaun hai
o be-haya tu kaun hai
ehsas-e-izzat kyun nahin
sharm aur ghairat kyun nahin
ye pur-fusun ghamze tere
na-mahramon ke samne
haT samne se dur ho
mardud ho maqhur ho
taqdir ki heTi hai tu
shaitan ki beTi hai tu
jis qaum ki aurat hai tu
us qaum par lanat hai tu
lekin Thahar jaana zara
teri nahin koi KHata
mardon mein ghairat hi nahin
qaumi hamiyat hi nahin
wo millat-e-baiza ki thi
sare jahan ki raushni
jamiyyat-e-islamiyan
shahanshah-e-hindostan
ab is mein dam kuchh bhi nahin
hum kya hain hum kuchh bhi nahin
milli siyasat uTh gai
bazu ki taqat uTh gai
shan-e-hijazi ab kahan
wo turktazi ab kahan
ab ghaznawi himmat gai
ab babari shaukat gai
iman aalamgir ka
muslim ke dil se uTh gaya
qaum ab jafa-pesha hui
izzat gada-pesha hui
ab rang hi kuchh aur hai
be-ghairati ka daur hai
ye qaum ab miTne ko hai
ye nard ab piTne ko hai
afsos ye hindostan!
ye gulshan-e-jannat-nishan!
iman-daron ka watan
taat-guzaron ka watan
rah jaega virana phir
ban jaega but-KHana phir
lekin mujhe kya KHabt hai
taqrir kyun be-rabt hai
aisa bahak jata hun main
munh aai bak jata hun main
itna sharabi ho gaya
aql-o-KHirad ko kho gaya
mujh ko zamane se gharaz
miTne miTane se gharaz
hindostan se kaam kya
andesha-e-anjam kya
jine do jine do mujhe
pine do pine do mujhe
jab hashr ka din aaega
us waqt dekha jaega
han nachti ja gae ja
nazron se dil barmae ja
taDpae ja taDpae ja
o dushman-e-duniya-o-din
Nazm
Raqqasa
Hafeez Jalandhari