phulon pe raqs aur na bahaaron pe raqs kar
gulzar-e-hast-e-bud mein KHaron pe raqs kar
ho kar jumud-e-gulshan-e-jannat se be-niyaz
dozaKH ke be-panah shararon pe raqs kar
sham-e-sahar fusun-e-tabassum, hayat-e-gul
fitrat ke in ajib nazaron pe raqs kar
tanzim-e-kaenat-e-junun ki hansi uDa
ujDe hue chaman ki bahaaron pe raqs kar
sahmi hui sada-e-dil-e-na-tawan na sun
bahki hui nazar ke ishaaron par raqs kar
jo mar ke ji rahe the tujhe un se kya gharaz
tu apne aashiqon ke mazaron pe raqs kar
har har ada ho ruh ki gahraiyon mein gum
yun rang-o-bu ki rah-guzaron pe raqs kar
tu apni dhun mein mast hai tujh ko batae kaun
teri zamin falak hai sitaron par raqs kar
is tarah raqs kar ki sarapa asar ho tu
koi nazar uThae to pesh-e-nazar ho tu
Nazm
Raqqasa-e-hayat se
Shakeel Badayuni