اردو हिंदी
Raat phir dard bani | Shaahi Shayari
raat phir dard bani

Nazm

Raat phir dard bani

Zubair Rizvi

;

aasman TuTa hua chand
hatheli pe liye hansta hai

raat aazurda sitaron se suKHan karti hui
rahguzaron pe dabe panw chali aai hai

bhig jati hai kisi aankh mein aansu ban kar
phail jati hai kisi yaad ki KHushbu bin kar

kahin TuTe hue paiman-e-wafa joDti hai
mauj-e-mai ban ke chhalak paDti hai paimanon se

dil ka ahwal suna karti hai diwanon se
aasman chand se KHali hua

aur ab koi sitara bhi to raKHshanda nahin
raat be-nur guzar-gahon pe chalte hue

afsurda hai nam-dida hai
ek sannaTa tarasta hua aawazon ko

be-ziya karta hua raat ki mehrabon ko