phir chali hai rail station se lahraati hui
nim-shab ki KHamushi mein zer-e-lab gati hui
Dagmagati jhumti siTi bajati khelti
wadi o kohsar ki ThanDi hawa khati hui
tez jhonkon mein wo chham chham ka surud-e-dil-nashin
aandhiyon mein meinh barasne ki sada aati hui
jaise maujon ka tarannum jaise jal-pariyon ke git
ek ek lai mein hazaron zamzame gati hui
naunihaalon ko sunati miThi miThi loriyan
nazninon ko sunahre KHwab dikhlati hui
Thokaren kha kar lachakti gungunati jhumti
sarKHushi mein ghungruon ki tal par gati hui
naz se har moD par khati hui sau pech-o-KHam
ek dulhan apni ada se aap sharmati hui
raat ki tarikiyon mein jhilmilati kanpti
pTriyon par dur tak simab jhalkati hui
jaise aadhi raat ko nikli ho ek shahi baraat
shadyanon ki sada se wajd mein aati hui
muntashir kar ke faza mein ja-ba-ja chingariyan
daman-e-mauj-e-hawa mein phul barsati hui
tez-tar hoti hui manzil-ba-manzil dam-ba-dam
rafta rafta apna asli rup dikhlati hui
sina-e-kohsar par chaDhti hui be-iKHtiyar
ek nagan jis tarah masti mein lahraati hui
ek sitara TuT kar jaise rawan ho arsh se
rifat-e-kohsar se maidan mein aati hui
ek bagule ki tarah baDhti hui maidan mein
jangalon mein aandhiyon ka zor dikhlati hui
rasa-bar-andam karti anjum-e-shab-tab ko
aashiyan mein tair-e-wahshi ko chaunkati hui
yaad aa jae purane dewtaon ka jalal
un qayamat-KHeziyon ke sath bal khati hui
ek raKHsh-e-be-inan ki barq-raftari ke sath
KHandaqon ko phandti Tilon se katraati hui
murgh-zaron mein dikhati ju-e-shirin ka KHiram
wadiyon mein abr ke manind manDlati hui
ek pahaDi par dikhati aabshaaron ki jhalak
ek bayaban mein charagh-e-tur dikhlati hui
justuju mein manzil-e-maqsud ki diwana-war
apna sar dhunti faza mein baal bikhraati hui
chheDti ek wajd ke aalam mein saz-e-sarmadi
ghaiz ke aalam mein munh se aag barsati hui
rengti muDti machalti tilmilati hanpti
apne dil ki aatish pinhan ko bhaDkati hui
KHud-ba-KHud ruThi hui biphri hui bikhri hui
shor-e-paiham se dil-e-giti ko dhaDkati hui
pul pe dariya ke dama-dam kaundti lalkarti
apni is tufan-angezi pe itraati hui
pesh karti bich naddi mein charaghan ka saman
sahilon par ret ke zarron ko chamkati hui
munh mein ghusti hai surangon ke yakayak dauD kar
dandanati chiKHti chinghaDti gati hui
aage aage justuju-amez nazren Dalti
shab ke haibatnak nazzaron se ghabraati hui
ek mujrim ki tarah sahmi hui simTi hui
ek muflis ki tarah sardi mein tharraati hui
Tez-e-raftar ke sikke jamati ja-ba-ja
dasht o dar mein zindagi ki lahar dauDati hui
Dal kar guzre manazir par andhere ka naqab
ek naya manzar nazar ke samne lati hui
safha-e-dil se miTati ahd-e-mazi ke nuqush
haal o mustaqbil ke dilkash KHwab dikhlati hui
Dalti be-his chaTanon par haqarat ki nazar
koh par hansti falak ko aankh dikhlati hui
daman-e-tariki-e-shab ki uDati dhajjiyan
qasr-e-zulmat par musalsal tir barsati hui
zad mein koi chiz aa jae to us ko pis kar
irtiqa-e-zindagi ke raaz batlati hui
zoam mein peshani-e-sahra pe Thokar marti
phir subuk-raftariyon ke naz dikhlati hui
ek sarkash fauj ki surat alam khole hue
ek tufani garaj ke sath Daraati hui
ek ek harkat se andaz-e-baghawat aashkar
azmat-e-insaiyat ke zamzame gati hui
har qadam par top ki si ghan-garaj ke sath sath
goliyon ki sansanahaT ki sada aati hui
wo hawa mein saikaDon jangi duhal bajte hue
wo bigul ki jaan-fazan aawaz lahraati hui
al-gharaz uDti chali jati hai be-KHauf-o-KHatar
shair-e-atish-nafas ka KHun khaulati hui
Nazm
Raat aur rail
Asrar-ul-Haq Majaz