labrez hai sharab-e-haqiqat se jam-e-hind
sab falsafi hain KHitta-e-maghrib ke ram-e-hind
ye hindiyon ki fikr-e-falak-ras ka hai asar
rifat mein aasman se bhi uncha hai baam-e-hind
is des mein hue hain hazaron malak-sarisht
mashhur jin ke dam se hai duniya mein nam-e-hind
hai ram ke wajud pe hindostan ko naz
ahl-e-nazar samajhte hain is ko imam-e-hind
ejaz is charagh-e-hidayat ka hai yahi
raushan-tar-az-sahar hai zamane mein sham-e-hind
talwar ka dhani tha shujaat mein fard tha
pakizgi mein josh-e-mohabbat mein fard tha
Nazm
Ram
Allama Iqbal