chali aati hai ab to har kahin bazar ki rakhi
sunahri sabz resham zard aur gulnar ki rakhi
bani hai go ki nadir KHub har sardar ki rakhi
salonon mein ajab rangin hai us dildar ki rakhi
na pahunche ek gul ko yar jis gulzar ki rakhi
ayan hai ab to rakhi bhi chaman bhi gul bhi shabnam bhi
jhamak jata hai moti aur jhalak jata hai resham bhi
tamasha hai aha ha-ha ghanimat hai ye aalam bhi
uThana hath pyare wah-wa Tuk dekh len hum bhi
tumhaari motiyon ki aur zari ke tar ki rakhi
machi hai har taraf kya kya salonon ki bahaar ab to
har ek gul-ru phire hai rakhi bandhe hath mein KHush ho
hawas jo dil mein guzre hai kahun kya aah main tum ko
yahi aata hai ji mein ban ke baamhan, aaj to yaro
main apne hath se pyare ke bandhun pyar ki rakhi
hui hai zeb-o-zinat aur KHuban ko to rakhi se
wa-lekin tum se ai jaan aur kuchh rakhi ke gul phule
diwani bulbulen hon dekh gul chunne lagin tinke
tumhaare hath ne mehndi ne angushton ne naKHun ne
gulistan ki chaman ki bagh ki gulzar ki rakhi
ada se hath uThte hain gul-e-rakhi jo hilte hain
kaleje dekhne walon ke kya kya aah chhilte hain
kahan nazuk ye pahunche aur kahan ye rang milte hain
chaman mein shaKH par kab is tarah ke phul khilte hain
jo kuchh KHubi mein hai us shoKH-e-gul-ruKHsar ki rakhi
phiren hain rakhiyan bandhe jo har dam husn ke tare
to un ki rakhiyon ko dekh ai jaan chaw ke mare
pahan zunnar aur qashqa laga mathe upar bare
'nazir' aaya hai baamhan ban ke rakhi bandhne pyare
bandha lo us se tum hans kar ab is tyauhaar ki rakhi
Nazm
Rakhi
Nazeer Akbarabadi