chalo ek raat to guzri
chalo saffak zulmat ke badan ka ek TukDa to kaTa
aur waqt ki be-intihai ke samundar mein
koi tabut girne ki sada aai
ye mana raat aankhon mein kaTi
ek ek pal but sa ban kar jam gaya
ek sans to ek sadi ke baad phir se sans lene ka KHayal aaya
ye sab sach hai ki raat ek karb-e-be-payan thi
lekin karb hi taKHliq hai
ai pau phaTe ke dilruba lamho gawahi do
yunhi kaTti chali jaengi raaten
aur phir wo aaftab ubhrega
jo apni shuaon se abad ko raushni baKHshega
phir koi andheri dharti ko na chhu paega
danayan-e-mazhab ke mutabiq hashr aa jaega
lekin hashr bhi ek karb hai
har karb ek taKHliq hai
ai pau phaTe ke dilruba lamho gawahi do
Nazm
Qayamat
Ahmad Nadeem Qasmi