hum teri subhon ki os mein bhigi
aankhon ke sath
dinon ki is basti ko dekhte hain
hum tere KHush-ilhan parinde
har jaanib teri munDeren khojte hain
hum nikle the
tere mathe ke liye bosa DhunDne
hum aaenge
bojhal qadmon ke sath
tere tarik hujron mein phirne ke liye
tere sine par
apni ukTahaTon ke phul bichhane
sar-phiri hawa ke sath
tere KHali chaubaron mein phirne ke liye
tere sehnon se uThte dhuen ko
apni aankhon mein bharne
tere ujle bachchon ki maili aastinon se
apne aansu ponchhne
teri kai zada diwaron se
lipaT jaane ke liye
hum aaenge
nind aur bachpan ki KHushbu mein soi hui
teri raaton ki chhat par
ujli chaarpaiyan bichhane
motiye ke phulon se pare
apni chiKHti tanhaiyan uThane
hum lauTenge teri jaanib
aur dekhenge teri buDhi inTon ko
umron ke rat-jagon se dukhti aankhon ke sath
unche niche makanon mein ghire
guzishta ke gaDhe mein
ek bar phir girne ke liye
lambi tan kar sone ke liye
hum aaenge tere mazafat mein
miTTi hone ke liye
Nazm
Qasbaati laDkon ka git
Abrar Ahmad