jis waqt mahaar uThai thi mera unT bhi pyasa tha 
mashkize mein KHun bhara tha aankh mein sahra phaila tha 
KHushk babulon ki shaKHon par sanp ne halqe Dale the 
jin ki surKH zabanon se patton ne zahr kashid kiya 
kali gardan pili aankhon wali ban ki ek chuDail 
nile panjon wale naKHun jin ke andar chikna mail 
ek kaTora KHushk lahu ka us mein lakhon rengte bichchhu 
hum donon ne tez kiye the upar niche wale dant 
KHushk lahu ko kaT ke khaya aur piya phir mashkiza 
us ke baad achanak dekha sahra KHun ka dariya tha 
main aur Dayan sanp aur bichchhu sab kuchh us mein Dub rahe the 
lekin unT wo pyasa mera hum se Dar kar bhag gaya
        Nazm
Pyasa unT
Ali Akbar Natiq

