jis ka hai sab ko gyan yahi hai
sare jahan ki jaan yahi hai
jis se hai apni aan yahi hai
mera niwas asthan yahi hai
pyara hindostan yahi hai
hansta parbat hansmukh jharna
panw pasare ganga jamuna
godi khole dharti mata
mera niwas asthan yahi hai
pyara hindostan yahi hai
ek to uncha sab se himala
us par mere desh ka jhanDa
dharti par aakash ka dhoka
mera niwas asthan yahi hai
pyara hindostan yahi hai
parbat kitna jam ke aDe hain
kaise kaise bhim khaDe hain
jharne gir gir panw paDe hain
mera niwas asthan yahi hai
pyara hindostan yahi hai
parbat unchi choTi wale
banke tirchhe nok nikale
'arjun' jaise ban sambhaale
mera niwas asthan yahi hai
pyara hindostan yahi hai
aarti us ki chand utare
usha us ki mang sanware
suraj us par sab kuchh ware
mera niwas asthan yahi hai
pyara hindostan yahi hai
jhumti gaen nachte panchhi
sari duniya raqs-o-masti
'krishn' ki bansi hae re bansi
mera niwas asthan yahi hai
pyara hindostan yahi hai
jal bichhae jal sambhaale
kamsin saDken mang nikale
baal bikhere naddi nale
mera niwas asthan yahi hai
pyara hindostan yahi hai
raat ki nari Dub gai hai
subh ki dewi jag chuki hai
panghaT par ek bhiD lagi hai
mera niwas asthan yahi hai
pyara hindostan yahi hai
sundar nari nar sambhaale
ghunghaT kaDhe aur haTae
chalte phirte prem shiwale
mera niwas asthan yahi hai
pyara hindostan yahi hai
dharti ki poshak nai hai
kheti jaise sabz pari hai
mehnat apne bal pe khaDi hai
mera niwas asthan yahi hai
pyara hindostan yahi hai
paDti bunden bajti payal
dharti jal-thal panchhi ghael
bole papiha kuke koyal
mera niwas asthan yahi hai
pyara hindostan yahi hai
desh ka ek ek nayan kaTora
sare jahan par Dale Dora
apna janta apna elora
mera niwas asthan yahi hai
pyara hindostan yahi hai
taj-mahal be-misl hasina
is mein mila kitnon ka pasina
jab kahin chamka hai ye nagina
mera niwas asthan yahi hai
pyara hindostan yahi hai
ahd-e-wafa ki laj to dekho
shah ke dil par raj to dekho
prem ke sar par taj to dekho
mera niwas asthan yahi hai
pyara hindostan yahi hai
bhaarat ki taqdir ko dekho
jannat ki taswir ko dekho
aao zara kashmir ko dekho
mera niwas asthan yahi hai
pyara hindostan yahi hai
ek isi kashmir ka darshan
kitnon ke dukh dard ka darpan
aas nahae barse jiwan
mera niwas asthan yahi hai
pyara hindostan yahi hai
ek taraf bangal ka jadu
sar se kamar tak gesu hi gesu
phaili hui 'tagore' ki KHushbu
mera niwas asthan yahi hai
pyara hindostan yahi hai
kali balaen sar par pale
sham awadh ki Dera Dale
aise mein kaun apne ko sambhaale
mera niwas asthan yahi hai
pyara hindostan yahi hai
husn ki taskin ishq ki Dhaaras
wah re apni subh-e-banaras
ghaT ke patthar jaise paras
mera niwas asthan yahi hai
pyara hindostan yahi hai
mandir masjid aur shiwale
manauta ka bhaar sambhaale
kitne yugon ko dekhe-bhaale
mera niwas asthan yahi hai
pyara hindostan yahi hai
phulon ke mukhDe chum rahe hain
kale bhanwre ghum rahe hain
amn ke baadal jhum rahe hain
mera niwas asthan yahi hai
pyara hindostan yahi hai

Nazm
Pyara hindostan
Nazeer Banarasi