pata nahin wo kaun tha
jo mere hath
mugre ki Dal pankh mor ka thama ke chal diya
pata nahin wo kaun tha
hawa ke jhonke ki tarah jo aaya aur guzar gaya
nazar ko rang dil ko nikhaton ke dukh se bhar gaya
main kaun hun
guzarne wala kaun tha
ye phul pankh kya hain kyun mile
ye sochte hi sochte tamam rang ek rang mein utarte gae
siyah rang
tamam nikhaten idhar udhar bikhar gain
KHalaon mein
yaqin hai nahin nahin guman hai
wo koi mera dushman-e-qadim tha
dikha ke jo sarab meri pyas aur baDha gaya
main be-hisab aarzuon ka shikar
intiha-e-shauq mein fareb us ka kha gaya
guman nahin nahin yaqin hai
wo koi mera dost tha
jo do ghaDi ke waste hi kyun na ho
nazar ko rang dil ko nikhaton se bhar gaya
pata nahin kidhar gaya
main is ko DhunDhta hua
tamam kaenat mein
udhar udhar bikhar gaya
Nazm
Pata nahin wo kaun tha
Bashar Nawaz