nim-shab mein aish-e-bistar chhoD kar
kaun mere pichhe pichhe aaega
aur dekhega ki main
ek ghair-abaad masjid mein
chand anjaane buzurgon ki jamaat mein
tahajjud paDh raha hun
kaun dekhega rijal-ul-ghaib mujh se
baat karne mein magan hain
chand ko bahar falak par chhoD kar
waqt ki andhi gupha mein
dur tak andar pahunch
aag ke aur raushni ke aabshaaron mein nahata hun
aur isi rishte se bahar aan kar
chand ki gardan mein apna hath Dale
anjuman-ta-anjuman aawargi ka lutf leta hun
nim-shab ko aish-e-bistar chhoD kar
Nazm
Pas-e-diwar-e-shab
Ameeq Hanafi