yahi jagah thi yahi din tha aur yahi lamhat
saron pe chhai thi sadiyon se ek jo kali raat
isi jagah isi din to mili thi us ko mat
isi jagah isi din to hua tha ye elan
andhere haar gae zindabaad hindostan
yahin to hum ne kaha tha ye kar dikhana hai
jo zaKHm tan pe hai bhaarat ke us ko bharna hai
jo dagh mathe pe bhaarat ke hai miTana hai
yahin to khai thi hum sab ne ye qasam us din
yahin se nikle the apne safar pe hum us din
yahin tha gunj uTha wande-matram us din
hai juraton ka safar waqt ki hai rahguzar
nazar ke samne hai saTh mil ka patthar
koi jo puchhe kiya kya hai kuchh kiya hai agar
to us se kah do ki wo aae dekh le aa kar
lagaya hum ne tha jamhuriyat ka jo paudha
wo aaj ek ghanera sa uncha bargad hai
aur us ke sae mein kya badla kitna badla hai
kab intiha hai koi is ki kab koi had hai
chamak dikhate hain zarre ab aasmanon ko
zaban mil gai hai sare be-zabanon ko
jo zulm sahte the wo ab hisab mangte hain
sawal karte hain aur phir jawab mangte hain
ye kal ki baat hai sadiyon purani baat nahin
ki kal talak tha yahan kuchh bhi apne hath nahin
wideshi raj ne sab kuchh nichoD Dala tha
hamare desh ka har kargha toD Dala tha
jo mulk sui ki KHatir tha auron ka muhtaj
hazaron chizen wo duniya ko de raha hai aaj
naya zamana liye ek umang aaya hai
karoDon logon ke chehre pe rang aaya hai
ye sab kisi ke karam se na hai inayat se
yahan tak aaya hai bhaarat KHud apni mehnat se
jo kaamyabi hai us ki KHushi to puri hai
magar ye yaad bhi rakhna bahut zaruri hai
ki dastan hamari abhi adhuri hai
bahut hua hai magar phir bhi ye kami to hai
bahut se honThon pe muskan aa gai lekin
bahut si aankhen hai jin mein abhi nami to hai
yahi jagah thi yahi din tha aur yahi lamhat
yahin to dekha tha ek KHwab sochi thi ek baat
musafiron ke dilon mein KHayal aata hai
har ek zamir ke aage sawal aata hai
wo baat yaad hai ab tak hamein ki bhul gae
wo KHwab ab bhi salamat hai ya fuzul gae
chale the dil mein liye jo irade pure hue
ye kaun hai ki jo yaadon mein charKHa katta hai
ye kaun hai jo hamein aaj bhi batata hai
hai wada KHud se nibhana hamein agar apna
to karwan nahin ruk pae bhul kar apna
hai thoDi dur abhi sapnon ka nagar apna
musafiro abhi baqi hai kuchh safar apna
Nazm
Pandrah august
Javed Akhtar