ghaTa hai ghanghor raat kali faza mein bijli chamak rahi hai
milan ka sina ubhaar par hai birah ki chhati dhaDak rahi hai
hawa jo masti mein chur ho kar qadam qadam par bahak rahi hai
kamar hai har shaKH-e-gul ki nazuk Thahar Thahar kar lachak rahi hai
hawa pe chalta hai hukm in ka ghaTaen bharti hain in ka pani
inhin se surKHi bahaar ki hai inhin se barsat ki kahani
inhin se chashme inhin se jharne inhin se jharnon ki naghma-KHwani
inhin se parbat inhin se dariya inhin se dariyaon ki rawani
fareb de kar chali na jaen baDi dhuen-dhaar hain ghaTaen
jab aa gai hain to jam ke barse baghair barse na lauT jaen
mile naya sab ko ek jiwan chaman khilen khet lahlahaen
hawa mohabbat ka rag alape kisan dharti ke git gaen
yahan pe hai sab ka ek darja koi bhi chhoTa baDa nahin hai
jahan pe ho imtiyaz is ka wo mai-kada mai-kada nahin hai
nikal zara ghar se gham ke mare urus-e-fitrat ke kar nazare
saza samajh kar na kaT pyare ye zindagi hai saza nahin hai
kiya hai jis jis ne dur andhera use use raushni mein lao
jahan jahan dafn hai ujala wahan wahan par diye jalao
qasam hai aazadi-e-watan ki adawat aapas ki bhul jao
kiya ho jis ne gila tumhaara use bhi baDh kar gale lagao
qadam jo aage baDhae sab ki zaban se doharao wo kahani
'nazir' pandrah august se lo nae irade nai jawani
hawa se kah do ki saz chheDe amar shahidon ke bankpan ka
sunao yaro watan ke naghme ye din hai aazadi-e-watan ka
Nazm
Pandrah august
Nazeer Banarasi